lage hai āsmāñ jaisā nahīñ hai
nazar aatā hai jo hotā nahīñ hai
tum apne aks meñ kyā dekhte ho
tumhārā aks bhī tum sā nahīñ hai
mile jab tum to ye ehsās jaagā
ab aage kā safar tanhā nahīñ hai
bahut sochā hai ham ne zindagī par
magar lagtā hai kuchh sochā nahīñ hai
yahī jaanā hai ham ne kuchh na jaanā
yahī samjhā hai kuchh samjhā nahīñ hai
yaqīñ kā dā.era dekhā hai kis ne
gumāñ ke dā.ere meñ kyā nahīñ hai
yahāñ to silsile hī silsile haiñ
koī bhī vāqi.a tanhā nahīñ hai
bañdhe haiñ kā.enātī bandhanoñ meñ
koī bandhan magar dikhtā nahīñ hai
ho kis nisbat se tum 'jāved' sāhab
na honā to hai yaañ honā nahīñ hai