Abdullah Javed

koi rishta na ho phir bhi rishte bahut

Abdullah Javed

Ghaziabad, Uttar pradesh, India

1931
koī rishta na ho phir bhī rishte bahut
aap apne nahīñ aap apne bahut
raaz rakhte na ham is ta.alluq ko gar
log rote bahut log hañste bahut
dil kī tanhā.iyoñ kā mudāvā nahīñ
ghuum kar ham ne dekhe haiñ mele bahut
is hī buniyād par kyuuñ na mil jaa.eñ ham
aap tanhā bahut ham akele bahut
jab thī manzil nazar meñ to rasta thā ek
gum huī hai jo manzil to raste bahut
ḳhvāb tābīr ke moḌ par kho ga.e
yuuñ ki tābīr-dāñ paḌ ke so.e bahut
peḌ ko kāTne vaale dekheñ zarā
peḌ par haiñ bane āshiyāne bahut
Dūbne vaale shāyad ye batlā sakeñ
Dūbne ko sahāre ke tinke bahut
Top Urdushayar.com