har lamha marg-o-zīst meñ paikār dekhnā
khīñchī huī hai vaqt ne talvār dekhnā
is dopahar kī dhuup meñ saaya kahāñ mile
din Dhal chale to phir kahīñ dīvār dekhnā
ab to safar ke saḳht marāhil haiñ aur ham
jab paas aa.e manzil-e-dildār dekhnā
be-tābiyāñ hoñ laakh magar us ke rū-ba-rū
chhoḌeñ na haath dāman-e-pindār dekhnā
ai maslahat kī past zamīnoñ ke bāsiyo
kitnī bulandiyāñ haiñ sar-e-dār dekhnā
zarra bhī āftāb se kamtar nahīñ yahāñ
yaaro magar ba-dīda-e-bedār dekhnā
'jāved' ham haiñ aur hai ehsās kā ḳhulūs
yāroñ ke paas jhuuT ke tūmār dekhnā