yaad yuuñ hosh gañvā baiThī hai
jism se jaan judā baiThī hai
raah taknā hai abas so jaao
dhuup dīvār pe aa baiThī hai
āshiyāne kā ḳhudā hī hāfiz
ghaat meñ tez havā baiThī hai
dast-e-gul-chīñ se muravvat kaisī
shāḳh phūloñ ko gañvā baiThī hai
kaise aa.e kisī gulshan meñ bahār
dasht meñ ābla-pā baiThī hai
shahr āseb-zada lagtā hai
kūche kūche meñ balā baiThī hai
chaar kamroñ ke makāñ meñ apne
ik pachhal-pā.ī bhī aa baiThī hai
shā.irī peT kī ḳhātir 'jāved'
biich bāzār ke aa baiThī hai