Krishn Bihari Noor

KHamoshiyon mein sada se likha hua ek nam

Krishn Bihari Noor

Lucknow, Uttar pradesh, India

1926-2003
ḳhamoshiyoñ meñ sadā se likhā huā ik naam
suno hai dast-e-duā se likhā huā ik naam
har ik kī apnī zabāñ hai na paḌh sakegā bashar
zamīñ pe āb-o-havā se likhā huā ik naam
jo sun sako to suno ḳhushbuoñ ke lab par hai
guloñ pe bād-e-sabā se likhā huā ik naam
chamaktā rahtā hai jab tak kuredī jaa.e na raakh
chitā pe dast-e-fanā se likhā huā ik naam
ajiib baat hai paḌhiye to harf uḌne lageñ
badan badan pe qabā se likhā huā ik naam
kabhī kabhī to baraste hue bhī dekhā hai
falak pe kaalī ghaTā se likhā huā ik naam
magar ye quvvat-e-bīnā.ī kis tarah aa.ī
havā meñ dekhā havā se likhā huā ik naam
kabhī khuleñgī agar muTThiyāñ to dekheñge
hatheliyoñ pe hinā se likhā huā ik naam
ye kā.enāt to lagtā hai 'nūr' jaise ho
kisī kī ḳhaas adā se likhā huā ik naam
Top Urdushayar.com