nañge paañv kī aahaT thī yā narm havā kā jhoñkā thā
pichhle pahar ke sannāTe meñ dil dīvāna chauñkā thā
pāñchoñ havās kī bazm sajā kar us kī yaad meñ baiThe the
ham se pūchho shab-e-judā.ī kab kab pattā khaḌkā thā
aur bhī the us kī mahfil meñ bāteñ sab se hotī thiiñ
sab kī aañkh bachā kar us ne ham ko tanhā dekhā thā
duniyā to duniyā hī Thahrī rañg badaltī rahtī hai
dukh to ye hai dhyān kisī kā ghaTtā baḌhtā saayā thā
kaisā shikva kaisī shikāyat dil meñ yahī socho 'jāved'
tum hī ga.e the us kī galī meñ vo kab tum tak aayā thā