Abdullah Javed

jo guzarta hai guzar jae ji

Abdullah Javed

Ghaziabad, Uttar pradesh, India

1931
jo guzartā hai guzar jaa.e jī
aaj vo kar leñ ki bhar jaa.e jī
aaj kī shab yahīñ jiinā marnā
jis ko jaanā ho vo ghar jaa.e jī
is galī se nahīñ jaanā ham ko
aan ruḳhsat ho ki sar jaa.e jī
vaqt ne kar diyā jo karnā thā
koī martā hai to mar jaa.e jī
shāḳh-e-gul mauj-e-havā raqsāñ haiñ
phuul bikhre to bikhar jaa.e jī
manzaroñ ke bhī pare haiñ manzar
aañkh jo ho to nazar jaa.e jī
samt kyā raah kyā manzil kaisī
chal paḌo aap jidhar jaa.e jī
apnī hī soch pe chalnā chāhe
apnī hī soch se Dar jaa.e jī
ye ajab baat hai aksar 'jāved'
jis se rokeñ vahī kar jaa.e jī
Top Urdushayar.com