Abdullah Javed

main teri hi aawaz hun aur gunj raha hun

Abdullah Javed

Ghaziabad, Uttar pradesh, India

1931
maiñ terī hī āvāz huuñ aur guuñj rahā huuñ
ai dost mujhe sun ki maiñ gumbad kī sadā huuñ
jis raah se pahle koī ho kar nahīñ guzrā
us raah pe maiñ naqsh-e-qadam chhoḌ rahā huuñ
maiñ apne usūloñ kā garāñ baar uThā.e
har vaqt havāoñ ke muḳhālif hī chalā huuñ
be-māya habābo mujhe dekho ki adam se
maiñ sū-e-abad sail kī sūrat meñ bahā huuñ
har asr kī taḳhlīq meñ kuchh haath hai merā
maiñ vaqt ke zindāñ meñ bhī āzād rahā huuñ
sadiyoñ se maiñ apne ko banāne meñ huuñ masrūf
banda huuñ magar ġhaur se dekho to ḳhudā huuñ
hālāt kī gardish se hirāsāñ nahīñ 'jāved'
maiñ gardish-e-aflāk kī godī meñ palā huuñ
Top Urdushayar.com