Abdullah Javed

samundar par aa baiThe magar kya

Abdullah Javed

Ghaziabad, Uttar pradesh, India

1931
samundar paar aa baiThe magar kyā
na.e mulkoñ meñ ban jaate haiñ ghar kyā
na.e mulkoñ meñ lagtā hai nayā sab
zamīñ kyā āsmāñ kyā aur shajar kyā
udhar ke log kyā kyā sochte haiñ
idhar baste haiñ ḳhvāboñ ke nagar kyā
har ik raste pe chal kar sochte haiñ
ye rasta jā rahā hai apne ghar kyā
kabhī raste ye ham se pūchhte haiñ
musāfir ho rahe haiñ dar-ba-dar kyā
kabhī sochā hai miTTī ke alāva
hameñ kahte haiñ ye dīvār-o-dar kyā
yahāñ apne bahut rahte haiñ lekin
kisī ko bhī kisī kī hai ḳhabar kyā
kise fursat ki in bātoñ pe soche
mashīnoñ ne kiyā hai jaan par kyā
mashīnoñ ke ghanere jañgaloñ meñ
bhaTaktī ruuh kyā us kā safar kyā
yahāñ ke aadmī haiñ do ruḳhe kyuuñ
mohazzab ho ga.e haiñ jānvar kyā
adhūre kaam chhoḌe jā rahe haiñ
idhar ko ā.eñge bār-e-digar kyā
ye kis ke ashk haiñ auj-e-falak tak
koī rotā rahā hai raat bhar kyā
chaman meñ har taraf aañsū haiñ 'jāved'
tirī hālat kī sab ko hai ḳhabar kyā
Top Urdushayar.com