kār-e-afzā.ish-e-anvār-e-sahar kis ne kiyā
sirf āfāq mirā raḳht-e-safar kis ne kiyā
be-hunar tujh se mirā ijz-e-hunar pūchhtā hai
mujh ko ma.atūb sar-e-shahr-e-hunar kis ne kiyā
dahr-e-fānī meñ faqat ahl-e-qanā.at ke sivā
zindagī tujh ko bahar-hāl basar kis ne kiyā
ai mire jazb-e-anā terī baqā kī ḳhātir
apnī takmīl se is taur hazar kis ne kiyā
tū ki ik zarra-e-nāchīz thā ai husn-ma.āb
tujh ko ham-pāya-e-ḳhurshīd-o-qamar kis ne kiyā
aaj bhī dañg hai raftār-e-zamāna is par
ek pal meñ ka.ī qarnoñ kā safar kis ne kiyā
sochtā huuñ faqat is daur ke insāñ ke liye
hasrat-o-yās ke mausam ko amar kis ne kiyā
mahv-e-hairat hai tahayyur bhī jahāñ par 'tābish'
aise be-āb-o-giyah dasht ko ghar kis ne kiyā