Rifat Sultan

ab kahin saya-e-gesu bhi nahin

Rifat Sultan

ab kahīñ sāya-e-gesū bhī nahīñ
chain dil ko kisī pahlū bhī nahīñ
jaane kyā soch ke ḳhush baiThā huuñ
mausam-e-gul bhī nahīñ tū bhī nahīñ
ab tirī nazr karūñ kyā ai dost
ab mirī āñkhoñ meñ aañsū bhī nahīñ
kis ko siine se lagā kar ro.eñ
dasht meñ ab koī aahū bhī nahīñ
muskurā uThtī thī vo aañkh kabhī
aur ab jumbish-e-abrū bhī nahīñ
dil ko hasrat hai tire milne kī
aur hālāt pe qaabū bhī nahīñ
Top Urdushayar.com