Rifat Sultan

safar-e-zindagi nahin aasan

Rifat Sultan

safar-e-zindagī nahīñ āsāñ
har taraf raah meñ haiñ sañg-e-girāñ
duur ho jaa.eñ dukh zamāne ke
sāhab-e-dard ho agar insāñ
sochnā paḌ gayā zamāne ko
miT ke bhī ham na jab hue arzāñ
tū ise tanz kyuuñ samajhtā hai
maiñ to hālāt kar rahā huuñ bayāñ
jī rahā huuñ kuchh is tarah jaise
aag lag jaa.e aur ho na dhuāñ
tū mirī baat kā javāb na de
maiñ samajhtā huuñ ḳhāmushī kī zabāñ
nukta-chīnī hasad dil-āzārī
aur kyā hai matā-e-be-hunarāñ
mujh ko us ko talāsh hai 'rif.at'
jo mire dil meñ hai kahīñ pinhāñ
Top Urdushayar.com