masarratoñ kā khilā hai har ek samt chaman
magar ye dil ki hai phir bhī qatīl-e-ranj-o-mehan
baḌe sukūn se zulfeñ sañvārne vaale
kisī kī ziist na ban jaa.e mustaqil uljhan
mire junūñ pe rahe log mo'tariz lekin
na dekhe aah kisī ne tire ḳhutūt-e-badan
abhī to harf-e-tamannā kā zikr tak bhī nahīñ
abhī na Daal ḳhudā ke liye jabīñ pe shikan
dil-e-fasurda meñ yuuñ terī yaad aa.ī hai
shab-e-siyāh meñ jis tarah raushnī kī kiran
ye kis ne jhuum ke mastī meñ lī hai añgḌā.ī
fusūñ-tarāz hai ye kis kā rañg-e-pairāhan
guzar gayā hai zamāna magar mujhe 'rif.at'
hai ab bhī yaad kisī kī nigāh-e-tauba-shikan