rahā asiir ka.ī saal naqsh-e-pā kī tarah
ḳhudā kā shukr ab āzād huuñ havā kī tarah
mire habīb mujhe izn-e-bāryābī de
khaḌā huuñ dar pe tire āh-e-nā-rasā kī tarah
gunāhgār huuñ ik maiñ hī shahr meñ shāyad
ki baat karte haiñ sab mujh se pārsā kī tarah
abhī milā nahīñ mujh ko surāġh manzil kā
bhaTak rahā huuñ abhī apne rahnumā kī tarah
kise ḳhabar ki ye jiddat hai yā siyāsat hai
jafā kare bhī to kartā hai vo vafā kī tarah
munāfiqat kā nayā hai ye dil-fareb andāz
mujhe milā mirā dushman bhī āshnā kī tarah
mire zamīr kā ye hukm hai mujhe 'rif.at'
rakhī hai maiñ ne jo is daur meñ vafā kī tarah