lamha lamha shumār kartā huuñ
aap kā intizār kartā huuñ
ḳhār-zār-e-hayāt meñ rah kar
maiñ bahāroñ se pyaar kartā huuñ
zard chehroñ udaas āñkhoñ par
apnī ḳhushiyāñ nisār kartā huuñ
mujh sā nādān koī kyā hogā
aap par e'tibār kartā huuñ
dekh kar nuur nuur chehroñ ko
mid.hat-e-kirdgār kartā huuñ
koī samjhe na dil kī baat agar
ḳhāmushī iḳhtiyār kartā huuñ
maiñ mohabbat ke naam par 'rif.at'
ġham-nasīboñ se pyaar kartā huuñ