jo rivāyāt bhuul jaate haiñ
apnī har baat bhuul jaate haiñ
ahl-e-dil ahl-e-dard ahl-e-karam
de ke ḳhairāt bhuul jaate haiñ
aap aa.eñ to fart-e-shauq se ham
din hai yā raat bhuul jaate haiñ
apnī miTTī ke ghar banā kar bhī
log barsāt bhuul jaate haiñ
gulsitāñ meñ ḳhizāñ bhī aa.egī
phuul aur paat bhuul jaate haiñ
yaad rakhte haiñ aap sab bāteñ
lekin ik baat bhuul jaate haiñ
jab bhī vo ḳhush-nazar mile 'rif.at'
ġham ke lamhāt bhuul jaate haiñ