Rifat Sultan

hue jab se mohabbat-ashna hum

Rifat Sultan

hue jab se mohabbat-āshnā ham
nahīñ laate zabāñ par mudda.ā ham
sa.ādat hai jo ban jaa.eñ jahāñ meñ
kisī majbūr dil kā aasrā ham
chalā.e tiir chhup-chhup kar jinhoñ ne
kareñge un ke haq meñ bhī duā ham
miTegā dāġh-e-sajda kab jabīñ se
ḳhudā jaane baneñge kab ḳhudā ham
hamāre darmiyāñ kyuuñ fāsle haiñ
kabhī sochā na ham ne mil ke bāham
ḳhamoshī maslak-e-sāhab-dilāñ hai
kisī ko bhī nahīñ kahte burā ham
hamārī ruuh naġhma-ḳhvāñ rahegī
fanā ho kar nahīñ hoñge fanā ham
hameñ hai e'timād apnī vafā par
nahīñ karte kisī kā bhī gilā ham
zamāna-sāz nikle tum to kyā hai
zarā sī baat ko kyā deñ havā ham
agar izzat na dī ahl-e-haram ne
uThā lā.eñge apnā boriyā ham
tasavvur bhī nahīñ baaqī ḳhushī kā
ġham-e-duniyā meñ yuuñ haiñ mubtalā ham
musalsal ḳhāmushī ke ba.ad 'rif.at'
sar-e-maqtal hue haiñ lab-kushā ham
Top Urdushayar.com