dil ke zaḳhmoñ pe vo marham jo lagānā chāhe
vājibāt apne purāne vo chukānā chāhe
merī āñkhoñ kī samundar meñ utarne vaalā
aisā lagtā hai mujhe aur rulānā chāhe
dil ke āñgan kī kaḌī dhuup meñ ik doshīza
marmarīñ bhīgā huā jism sikhānā chāhe
saikḌoñ log the maujūd sar-e-sāhil-e-shauq
phir bhī vo shoḳh mire saath nahānā chāhe
aaj tak us ne nibhāyā nahīñ va.ada apnā
vo to har taur mire dil ko satānā chāhe
maiñ ne suljhā.e haiñ us shoḳh ke gesū akasr
ab isī jaal meñ mujh ko vo phañsānā chāhe
maiñ to samjhā thā faqat zehn kī taḳhlīq hai vo
vo to sach-much hī mire dil meñ samānā chāhe
us ne phailā.ī hai ḳhud apnī alālat kī ḳhabar
vo 'ziyā' mujh ko bahāne se bulānā chāhe