kyuuñ bhaTaktī sahrā meñ ghar bhī ik ḳharāba thā
be-nishāñ udāsī kā be-amāñ ahāta thā
jab kabhī nazar aayā ḳhvāb meñ nazar aayā
vo jahāñ pe rahtā thā kaun sā ilāqa thā
dāḳhlī kashākash se bā-ḳhabar to ho jaatā
zehn sochtā kyā thā dil kā kyā taqāza thā
us ne haal jab pūchhā maiñ bhī muskurā uTThī
ik vahī to lamha thā jab mujhe ifāqa thā
us kī chashm-e-kam-kam se zaḳhm-e-dil ne jo paayā
gulsitāñ ke phūloñ meñ ik nayā izāfa thā
an-kahī kahānī se in adhūrī sāñsoñ tak
bas ye nīm-jānī hī merā kul asāsa thā
merī jaan jaisī thī aur jis jagah par thī
aisī saarī bātoñ kā sher hī ḳhulāsa thā
'sa.adiya' kī hairānī aaj tak nahīñ jaatī
kaun thā tamāshā.ī kis kā vo tamāsha thā