vāda-e-shām-e-fardā pe ai dil mujhe gar yaqīñ hī na aa.e to maiñ kyā karūñ
un kī jhūTī tasallī ke tūfān meñ nabz-e-dil Duub jaa.e to maiñ kyā karūñ
maiñ ne māñgī thī ye masjidoñ meñ duā maiñ jise chāhtā huuñ vo mujh ko mile
jo mirā farz thā maiñ ne puurā kiyā ab ḳhudā bhuul jaa.e to maiñ kyā karūñ
saare jhagḌe agar mere jiine ke haiñ to galā ghoñT do maiñ bhī be-zār huuñ
maut ab tak to dāman bachātī rahī tū bhī dāman bachā.e to maiñ kyā karūñ
tū na samjhegā hargiz mire nāsehā merī mai-noshiyāñ merī badmastiyāñ
mujh pe tohmat na rakh maiñ sharābī nahīñ vo nazar se pilā.e to maiñ kyā karūñ
tum mujhe bevafā.ī ke taane na do mere mahbūb maiñ bevafā to nahīñ
tum bhī maġhrūr ho maiñ bhī ḳhuddār huuñ aañkh ḳhud hī bhar aa.e to maiñ kyā karūñ