maiñ to samjhā thā jis vaqt mujh ko vo mileñge to jannat milegī
kyā ḳhabar thī rah-e-āshiqī meñ saath un ke qayāmat milegī
maiñ nahīñ jāntā thā ki mujh ko ye mohabbat kī qīmat milegī
āñsuoñ kā ḳhazāna milegā chaak dāman kī daulat milegī
phuul samjhe na the zindagānī is qadar ḳhūb-sūrat milegī
ashk ban kar tabassum milegā dard ban kar masarrat milegī
merī rusvā.iyoñ pe na ḳhush ho merī dīvāngī ko duā do
tum ko jitnī bhī shohrat milegī sirf merī badaulat milegī
dil hamārā na toḌo ḳhudā-rā varna kho doge apnā sahārā
zarre zarre meñ is aa.ine ke tum ko apnī hī sūrat milegī
un ke ruḳh se naqāb aaj uThegī ab nazāroñ kī merāj hogī
ek muddat se aaj ahl-e-ġham ko muskurāne kī mohlat milegī
kaise sābit-qadam vo rahegā us kī tauba kā kyā haal hogā
jis ko sunte haiñ shaiḳh-e-haram se mai-kashī kī ijāzat milegī