Anwar Mirzapuri

ruKH se parda uTha de zara saqiya bas abhi rang-e-mahfil badal jaega

Anwar Mirzapuri

ruḳh se parda uThā de zarā sāqiyā bas abhī rañg-e-mahfil badal jā.egā
hai jo behosh vo hosh meñ aa.egā girne vaalā hai jo vo sambhal jā.egā
log samjhe the ye inqilāb aate hī nazm-e-kohna chaman kā badal jā.egā
ye ḳhabar kis ko thī ātish-e-gul se hī tinkā tinkā nasheman kā jal jā.egā
tum tasallī na do sirf baiThe raho vaqt kuchh mere marne kā Tal jā.egā
kyā ye kam hai masīhā ke rahne hī se maut kā bhī irāda badal jā.egā
tiir kī jaañ hai dil dil kī jaañ tiir hai tiir ko yuuñ na khīñcho kahā maan lo
tiir khīñchā to dil bhī nikal aa.egā dil jo niklā to dam bhī nikal jā.egā
ek muddat huī us ko ro.e hue ek arsa huā muskurā.e hue
zabt-e-ġham kā ab aur us se va.ada na ho varna bīmār kā dam nikal jā.egā
apne parde kā rakhnā hai gar kuchh bharam sāmne aanā jaanā munāsib nahīñ
ek vahshī se ye chheḌ achchhī nahīñ kyā karoge agar ye machal jā.egā
apne va.ade kā ehsās hai to magar dekh kar tum ko aañsū umañD aa.e haiñ
aur agar tum ko ye bhī gavārā nahīñ abr barse baġhair ab nikal jā.egā
merā dāman to jal hī chukā hai magar aañch tum par bhī aa.e gavārā nahīñ
mere aañsū na poñchho ḳhudā ke liye varna dāman tumhārā bhī jal jā.egā
dil meñ taaza ġham-e-āshiyāñ hai abhī mere nāloñ se barham na sayyād ho
dhīre dhīre ye aañsū bhī tham jā.eñge rafta rafta ye dil bhī bahal jā.egā
merī fariyād se vo taḌap jā.eñge mere dil ko malāl is kā hogā magar
kyā ye kam hai ki vo be-naqāb ā.eñge marne vaale kā armāñ nikal jā.egā
phuul kuchh is tarah toḌ de bāġhbāñ shāḳh hilne na paa.e na āvāz ho
varna gulshan pe raunaq na phir aa.egī dil agar har kisī kā dahal jā.egā
us ke hañsne meñ rone kā andāz hai ḳhaak uḌāne meñ fariyād kā raaz hai
us ko chheḌo na 'anvar' ḳhudā ke liye varna bīmār kā dam nikal jā.egā
Top Urdushayar.com