Anwar Mirzapuri

kisi surat bhi nind aati nahin main kaise so jaun

Anwar Mirzapuri

kisī sūrat bhī niiñd aatī nahīñ maiñ kaise so jā.ūñ
koī shai dil ko bahlātī nahīñ maiñ kaise so jā.ūñ
akelā pā ke mujh ko yaad un kī aa to jaatī hai
magar phir lauT kar jaatī nahīñ maiñ kaise so jā.ūñ
jo ḳhvāboñ meñ mire aa kar tasallī mujh ko detī thī
vo sūrat ab nazar aatī nahīñ maiñ kaise so jā.ūñ
tumhīñ to ho shab-e-ġham meñ jo merā saath dete ho
sitāro tum ko niiñd aatī nahīñ maiñ kaise so jā.ūñ
jise apnā samajhnā thā vo aañkh ab apnī dushman hai
ki ye rone se baaz aatī nahīñ maiñ kaise so jā.ūñ
tirī tasvīr jo TuuTe hue dil kā sahārā thī
nazar vo saaf ab aatī nahīñ maiñ kaise so jā.ūñ
ghaTā jo dil se uThtī hai mizha tak aa to jaatī hai
magar aañkh us ko barsātī nahīñ maiñ kaise so jā.ūñ
sitāre ye ḳhabar laa.e ki ab vo bhī pareshāñ haiñ
sunā hai un ko niiñd aatī nahīñ maiñ kaise so jā.ūñ
Top Urdushayar.com