is vāste dāman chaak kiyā shāyad ye junūñ kaam aa jaa.e
dīvāna samajh kar hī un ke hoñToñ pe mirā naam aa jaa.e
maiñ ḳhush huuñ agar gulshan ke liye kuchh merā lahū kaam aa jaa.e
lekin mujh ko Dar hai is kā gulchīñ pe na ilzām aa jaa.e
ai kaash hamārī qismat meñ aisī bhī koī shaam aa jaa.e
ik chāñd falak par niklā ho ik chāñd sar-e-bām aa jaa.e
mai-ḳhāna salāmat rah jaa.e is kī to kisī ko fikr nahīñ
mai-ḳhvār haiñ bas is ḳhvāhish meñ saaqī pe kuchh ilzām aa jaa.e
piine kā salīqa kuchh bhī nahīñ is par hai ye ḳhvāhish rindoñ kī
jis jaam pe haq hai saaqī kā hāthoñ meñ vahī jaam aa jaa.e
is vāste ḳhāk-e-parvāna par sham.a bahātī hai aañsū
mumkin hai vafā ke qisse meñ us kā bhī kahīñ naam aa jaa.e
afsāna mukammal hai lekin afsāne kā unvāñ kuchh bhī nahīñ
ai maut bas itnī mohlat de un kā koī paiġhām aa jaa.e