ab tire shahr se chup-chāp guzarnā hogā
zinda hote hue har moḌ pe marnā hogā
mere hālāt agar koī samajhnā chāhe
us ko ik baar mire dil meñ utarnā hogā
naqsh maazī ke miTā kar sabhī dil se apne
dard-o-ġham se hameñ ik baar ubharnā hogā
ham ne sachchā.ī kī har baar himāyat kī hai
ham ko is bhuul kā ḳhamyāza to bharnā hogā
aa.ina jaan ke dekhūñgī tirī āñkhoñ ko
jab kabhī tere liye mujh ko sañvarnā hogā
is mohabbat ko na lag jaa.e kahīñ koī nazar
ham ko duniyā kī nigāhoñ se bhī Darnā hogā
dekhnā hai hameñ ik va.ada-farāmosh 'siyā'
shaam tak dhuup ke sahrā meñ Thaharnā hogā