jab merī kahānī meñ vo kirdār nahīñ ab
jā maan liyā pahle sā me.aar nahīñ ab
le tere hī kahne pe tujhe chhoḌ diyā hai
kyoñ aur kahāñ kaise ki takrār nahīñ ab
kuchh shauq na hasrat na tamannā na guzārish
duniyā se mirā koī sarokār nahīñ ab
vahshat bhī tabī.at meñ hai aur josh-e-junūñ bhī
Takrāne ko sar sāmne dīvār nahīñ ab
ab zabt nahīñ baaqī hai dil bhar chukā merā
ye ta.ane ye bigḌī huī guftār nahīñ ab
ab koī bhī da.avā nahīñ kar saktā hai mujh par
duniyā meñ koī bhī merā haqdār nahīñ ab
is dil ko 'siyā' rog lagānā nahīñ achchhā
bas aur udāsī bhare ash.ār nahīñ ab