zindagī tujh ko kahīñ par to Thaharnā hogā
rasm-e-duniyā ko nibhāte hue marnā hogā
paañv thak jaa.eñ badan kāñpe yā dil ghabrā.e
jalte sahrā se hameñ roz guzarnā hogā
kyā vahī mauj-e-balā kyā vahī mañjdhār kā ḳhauf
ġham ke dariyāoñ se ab paar utarnā hogā
chhoḌ duuñ kaise adhūrā maiñ koī kaam tirā
tere ḳhāke meñ mujhe rañg to bharnā hogā
laakh hālāt tujhe karte hoñ majbūr 'siyā'
TuuT kar bhī na kahīñ tujh ko bikharnā hogā