qalam meñ ashk bhar kar likh rahī huuñ dard kāġhaz par
bikhere jā rahī huuñ hasratoñ ko sard kāġhaz par
taḌap aurat ke dil kī sirf ik aurat samajhtī hai
bas apnī ḳhvāhishoñ ko likh rahe haiñ mard kāġhaz par
chalo maanā ki kah lene se dukh halkā hī hotā hai
magar kuchh hī paloñ meñ itnā saarā dard kāġhaz par
yūñhī bas aaj maiñ ne ik purānī Diary kholī
jamī thī kab se yādoñ kī purānī gard kāġhaz par
nisā.ī karb likhne kā hunar ham ko hī aatā hai
hukūmat apnī sābit kar rahe haiñ mard kāġhaz par
tabhī jā kar ġhazal ko ik na.e paikar meñ Dhālā hai
lahū kī surḳh būñdeñ jab girī hai zard kāġhaz par
namī se gal bhī sakte haiñ sharar se jal bhī sakte haiñ
bharosā kar rahī haiñ kyoñ 'siyā' be-dard kāġhaz par