Siya sachdev

aarzuon ko ana-gir nahin kar sakte

Siya sachdev

Sitapur, Uttar pradesh, India

1967
ārzūoñ ko anā-gīr nahīñ kar sakte
ḳhvāb ko paaoñ kī zanjīr nahīñ kar sakte
kyā sitam hai kī muqaddar meñ likhā hai sab kuchh
phir bhī ham shikva-e-taqdīr nahīñ kar sakte
jab bulā.egī hameñ maut chale jā.eñge
hukm aisā hai kī tāḳhīr nahīñ kar sakte
ye safar vo hai kī jo chhūT gayā chhūT gayā
phir use paane kī tadbīr nahīñ kar sakte
jañg meñ kaise Tikeñge vo bhalā hastī kī
jo kisī shāḳh ko shamshīr nahīñ kar sakte
aap to ḳhair baḌe aadmī kahlāte haiñ
ham to chhoToñ kī bhī tahqīr nahīñ kar sakte
sab pe pābandī usūloñ kī 'siyā' lāzim hai
suḳhan-o-sher ko jāgīr nahīñ kar sakte
Top Urdushayar.com