dekhtā kyā hai tū hairat se hamārā chehra
ham ne muddat se sajāyā na sañvārā chehra
ye to achchhā hai kī be-rañg hai aañsū varna
kis qadar daaġh liye phirtā hamārā chehra
roz hotā hai guzar ek na.ī āñdhī se
aur aT jaatā hai phir dhuul se saarā chehra
zindagī ek hī chehre pe guzārī ham ne
ham ne pahnā na kabhī ham ne utārā chehra
daaġh lag jaa.e agar koī bhī peshānī par
aa.ina bhī nahīñ kartā hai gavārā chehra