Siya sachdev

tera hi zikr harsu tera hi bayan mile

Siya sachdev

Sitapur, Uttar pradesh, India

1967
terā hī zikr harsū tirā hī bayāñ mile
kholūñ koī kitāb terī dāstāñ mile
duniyā ke shor-o-shar se bahut tañg aa ga.e
mumkin hai ab tirī hī galī amaañ mile
paidā to kar bulandiyāñ apne ḳhayāl meñ
shāyad usī zamīñ pe tujhe āsmāñ mile
bas ek baar us se mulāqāt kyā huī
tā-umr apne aap ko phir ham mile
mahsūs tere qadmoñ kī ho āhaTeñ jahāñ
un rāstoñ pe bikhrī huī kahkashāñ mile
DhūñD to tū kahīñ bhī dikhā.ī na de mujhe
dekhūñ to zarre zarre meñ tū hī nihāñ mile
vo bad-nasīb hai jo bhaTakte hai dar-ba-dar
vo ḳhush-nasīb jin ko terā āstāñ mile
Top Urdushayar.com