rishtoñ kī kā.enāt meñ simTī huī huuñ maiñ
muddat se apne aap ko bhūlī huī huuñ maiñ
maiñ ḳhush-nasīb huuñ mire apnoñ kā saath hai
tanhā.iyoñ se phir bhī kyuuñ lipTī huī huuñ maiñ
dam ghoñTtī rahī huuñ tamannā kā har samay
in hasratoñ kī qabr sajātī rahī huuñ maiñ
aatī hai yaad aap kī mujh ko kabhī kabhī
aisā nahīñ ki aap ko bhūlī huī huuñ maiñ
us chāra-gar ko zaḳhm dikhā.ūñ yā chup rahūñ
is kashmakash meñ aaj bhī uljhī huī huuñ maiñ
huuñ fikrmand aaj ke hālāt dekh kar
beTī kī maañ huuñ is liye sahmī huī huuñ maiñ
jazbāt kaise nazm karūñ apne sher meñ
kab se isī ḳhayāl meñ Duubī huī huuñ maiñ
bekār zindagī meñ ye kaisī ḳhalish 'siyā'
sab kuchh milā hai phir bhī kamī DhūñDhtī huuñ maiñ