rañj itne mile zamāne se
lab chaTaḳhte haiñ muskurāne se
dhundlī dhundlī sī paḌ ga.ī yādeñ
zaḳhm bhī ho ga.e purāne se
mat banāo ye kāñch ke rishte
TuuT jā.eñge āzmāne se
tīrgī shab kī kam nahīñ hogī
ghar ke andar diye jalāne se
aql ne dil ko kar diyā hushiyār
bach ga.e ham fareb khāne se
ho hī jā.eñge ham rihā ik din
chhūT jā.eñge qaid-ḳhāne se
ai 'siyā' tañg aa chukī huuñ maiñ
hausle kī chitā jalāne se