ab to ye safar apnā āsmāñ se aage hai
marhala haqīqat kā ab gumāñ se aage hai
jis sakūñ kī chāhat hai vo yahāñ nahīñ mumkin
kyūñki apnī manzil hī is jahāñ se aage hai
guftugū hamārī ab kyā koī samajh paa.e
fikr hī hamārī jab har bayāñ se aage hai
itnā mohtaram koī aur hai zamāne meñ
is jahān meñ rishta koī maañ se aage hai
DhūñDhtī huuñ maiñ jis ko vo mujhe mile kaise
ḳhatm hai jahāñ rasta vo vahāñ se aage hai