uThā ke ġham tirā ai zindagī na ro.eñge
hamārā va.ada rahā ab kabhī na ro.eñge
ham apne siine pe rakh leñge zabt kā patthar
agar hai is meñ tumhārī ḳhushī na ro.eñge
hamāre ġham ne tumheñ phir se kar diyā hai udaas
tumhāre sāmne ab ham kabhī na ro.eñge
ham apnī shiddat-e-ehsās ko chhupā leñge
sunā ke apnī kabhī bebasī na ro.eñge
ġhamoñ kā bojh uThā leñge ham akele hī
yaqīn kījiye ham vāqa.ī na ro.eñge