dar-haqīqat roz-o-shab kī talḳhiyāñ jaatī rahīñ
zindagī se sab mirī dilchaspiyāñ jaatī rahīñ
naam thā jab tak to ham par saikḌoñ ilzām the
ho ga.e gumnām to rusvā.iyāñ jaatī rahīñ
ab ḳhayāloñ meñ vo mere saath sub.h-o-shām hai
jab se vo bichhḌā hai saarī dūriyāñ jaatī rahīñ
is qadar tanhā.iyoñ ne toḌ Daalā hai mujhe
jism se ho kar judā parchhā.iyāñ jaatī rahīñ
taale paḌ jā.eñge hoñToñ par tumhāre soch lo
mere hoñToñ se agar ḳhāmoshiyāñ jaatī rahīñ
lag rahā hai ḳhatm honā chāhtā hai silsila
ab dil-e-nādāñ kī betābiyāñ jaatī rahīñ