ab koī silsila nahīñ baaqī
dostoñ meñ vafā nahīñ baaqī
zindagī tujh pe raa.e kyā dū maiñ
ab koī tabsira nahīñ baaqī
vaqt-be-vaqt kyuuñ baraste haiñ
bādaloñ meñ hayā nahīñ baaqī
zindagī tujh se aur laḌne kā
mujh meñ ab hausla nahīñ baaqī
rañj, uljhan, ghuTan, pareshānī
rog koī rahā nahīñ baaqī
apnī manzil ko chhū liyā maiñ ne
koī maqsad rahā nahīñ baaqī
mere dushman ke qalb meñ fil-vaqt
jañg kā hausla nahīñ baaqī
jiit rakkhā hai maiñ ne apne ko
mujh meñ koī anā nahīñ baaqī
ashk āñkhoñ meñ aa ga.e haiñ 'siyā'
zabt dil par zarā nahīñ baaqī