maut jab mere nazdīk aane lagī
zindagī phir mujhe kyoñ lubhāne lagī
ek tū kyā gayā hai jahāñ se mire
jo bhī thī aarzū sab Thikāne lagī
ḳhvāb meñ bhī bichhaḌne lage mujh se tum
niiñd bhī aa ke mujh ko Darāne lagī
tū to apnī thī merī tujhe kyā huā
zindagī tū bhī ab āzmāne lagī
dhuup par maiñ koī tabsira kyā karūñ
chhāñv bhī ab to mujh ko jalāne lagī
jab bhī tanhā.iyāñ mujh pe haavī huī
lafz kāġhaz pe phir se sajāne lagī
zindagī bhar koī saath detā nahīñ
maiñ 'siyā' ḳhud ko yuuñ varġhalāne lagī