Siya sachdev

likha jo ashk se tahrir mein nahin aaya

Siya sachdev

Sitapur, Uttar pradesh, India

1967
likhā jo ashk se tahrīr meñ nahīñ aayā
vo dard lafz kī tafsīr meñ nahīñ aayā
abhī kuchh aur jakaḌ dushmanī kī bandish meñ
lahū kā zā.iqa zanjīr meñ nahīñ aayā
ho dard halkā to jhūTī ḳhushī bhī mil jaa.e
ik aisā lamha bhī taqdīr meñ nahīñ aayā
kisī ke hijr ne muflis banā diyā shāyad
palaT ke apnī vo jāgīr meñ nahīñ aayā
vo merī āñkhoñ pe qābiz rahā 'siyā' lekin
kisī bhī ḳhvāb kī ta.abīr meñ nahīñ aayā
Top Urdushayar.com