Siya sachdev

aankh jab barse to kya puchhna mausam kaisa

Siya sachdev

Sitapur, Uttar pradesh, India

1967
aañkh jab barse to kyā pūchhnā mausam kaisā
zaḳhm taqdīr meñ likhā hai to marham kaisā
hādisa guzrā thā vo ek hī lamhe ke liye
zindagī phir ye batā roz kā mātam kaisā
ab na dīvār se shikva hai na saa.e kī talab
dhuup jab merā muqaddar hai to phir ġham kaisā
āsmāñ raat agar royā nahīñ hai to batā
barg-e-gul par hai bhalā qatra-e-shabnam kaisā
is se pahle nahīñ dekhī thī udāsī itnī
hai 'siyā' aaj ye māyūsī kā aalam kaisā
Top Urdushayar.com