kuchh is tarah se hai mere asar meñ tanhā.ī
na dekh paa.e koī ik nazar meñ tanhā.ī
nikal ke ghar se akele nahīñ raheñge ham
hamāre saath rahegī safar meñ tanhā.ī
hujūm jismoñ kā miltā hai muskurātā huā
diloñ meñ jhāñke to hai har bashar meñ tanhā.ī
mire vajūd ke andar utar ga.ī shāyad
azal se phailī huī thī jo ghar meñ tanhā.ī
mirī tarah se koī aur bhī akelā thā
pata chalā jo paḌhī ik ḳhabar meñ tanhā.ī
ḳhayāl aap kā aatā hai aur jaatā hai
kabhī hai bazm kabhī lamha-bhar meñ tanhā.ī