ġham-e-duniyā ko bas merī taraf aane kī jaldī hai
har achchhe vaqt ko mujh se bichhaḌ jaane kī jaldī hai
baḌā nuqsān kar baiThī maiñ apnā jald-bāzī meñ
usī ko kho diyā maiñ ne jise paane kī jaldī hai
tum itnā muḳhtasar sā vaqt le kar aa.e hī kyoñ the
idhar aane meñ derī kī udhar jaane kī jaldī thī
haTā kar raah ke kāñTe nikal aa.ī salīqe se
mujhe jab manzil-e-maqsūd ko paane kī jaldī thī
'siyā' sab kah rahe haiñ zindagī kī aur ab dekho
magar dil kī tamannāoñ ko mar jaane kī jaldī hai