jis din se mirī tum se shanāsā.ī huī hai
us din se mirī aur bhī rusvā.ī huī hai
tum ne hī nazar bhar ke nahīñ dekhā hai mujh ko
aise meñ bhalā ḳhaak pazīrā.ī huī hai
qissa jo nayā paas koī hai to sunāo
ye baat to sau baar kī dohrā.ī huī hai
chāhūñ bhī to maiñ toḌ nahīñ pā.ūñgī is ko
rasmoñ kī ye zanjīr jo pahnā.ī huī hai
tū ne bhī uḌaa.ī hai hasīñ zindagī merī
tū bhī to mire ġham kī tamāshā.ī huī hai
sach pūchho to badnām hue naam kī ḳhātir
shohrat se ziyāda mirī rusvā.ī huī hai
rahne deñ karam ham pe ki ye jaan hamārī
hamdardiyoñ se aap kī ghabrā.ī huī hai
tum phir se uThā laa.e ho duniyā ko kahāñ se
ye to mirī sau baar kī Thukrā.ī huī hai