Shadan Indauri

hum un se kar gae hain kinara kabhi kabhi

Shadan Indauri

Indore, Madhya Pradesh, India

1912-1971
ham un se kar ga.e haiñ kinārā kabhī kabhī
dil ho gayā hai jaan se pyārā kabhī kabhī
rātoñ kī ḳhāmushī meñ mire dil pe rakh ke haath
letī hai kā.enāt sahārā kabhī kabhī
is tarah bhī vo aate haiñ āġhosh-e-shauq meñ
girtā hai jaise TuuT ke taarā kabhī kabhī
maiñ ne jahān-e-shauq ko be-jazba-e-numūd
apne hī dekhne ko sañvārā kabhī kabhī
jis tarah sarsarā.e chaman meñ shamīm-e-gul
is tarah us ne mujh ko pukārā kabhī kabhī
ab koī kyā kare jo ba-sad sa.ī-e-zabt-e-rāz
aa jaa.e lab pe naam tumhārā kabhī kabhī
ab ahl-e-shahr kis liye 'shādāñ' se haiñ ḳhafā
aatā hai shahr meñ vo bechārā kabhī kabhī
Top Urdushayar.com