sar-e-bazm merī nazar se jab vo nigāh-e-hosh-rubā milī
kabhī zindagī kā maza milā kabhī zindagī kī sazā milī
ka.ī manziloñ se guzar ga.e to hameñ ye rāh-e-vafā milī
kahīñ dil milā kahīñ dard-e-dil kahīñ dard-e-dil kī davā milī
tumheñ yaad hai mire sāthiyo ki bichhaḌ ga.e the vahīñ se ham
tumheñ dard-e-dil kī davā milī mujhe dard-e-dil kī duā milī
na bahā sake kabhī ashk bhī tirī barhamī ke ḳhayāl se
ga.e le ke jalte charāġh ham to hamesha tez havā milī
nahīñ ġham jo mujh ko zamāne meñ koī ġham kī daad na de sakā
magar un ke dil pe likhī huī mirī dāstān-e-vafā milī
dil-e-kā.enāt taḌap uThā vo shu.ūr-e-naġhma atā kiyā
jo sadā-e-sāz-e-hayāt se mire sāz-e-dil kī sadā milī
jo zamāna bhuul gayā to kyā ki chalan yahī hai zamāne kā
magar un ke dil pe likhī huī mirī dāstān-e-vafā milī