maiñ ne kahīñ thiiñ aap se bāteñ bhalī bhalī
rusvā kiyā hai aap ne mujh ko galī galī
maiñ ne kahā nahīñ thā ki sho.ala-badan haiñ log
ab kyuuñ dikhā rahe ho hathelī jalī jalī
gulshan meñ jo chalī hai havā kitnī tez hai
bikhrī paḌī hai shāḳh se kaT kar kalī kalī
ek aur shab kī raah meñ āñkheñ bichhā.iye
ye shab ba-sūrat-e-shab-e-rafta Dhalī Dhalī
kaise sarak sarak ke bharī gāgareñ girīñ
jab mere saath saath koī manchalī chalī
maiñ ne ġhazal sunā.ī to ik ahl-e-dil 'rashīd'
siine pe haath rakh ke pukārā valī valī