Rasheed Qaisrani

mana wo ek KHwab tha dhoka nazar ka tha

Rasheed Qaisrani

1930-2010
maanā vo ek ḳhvāb thā dhokā nazar kā thā
us bevafā se rabt magar umr-bhar kā thā
ḳhushbū kī chand mast lakīreñ ubhār kar
lauTā udhar havā kā vo jhoñkā jidhar kā thā
niklā vo baar baar ghaTāoñ kī oT se
us se muāmlā to faqat ik nazar kā thā
tum muskurā rahe the to shab saath saath thī
aañsū gire the jis pe vo dāman sahar kā thā
ham aaj bhī ḳhud apne hī saa.e meñ ghir ga.e
sar meñ hamāre aaj bhī saudā safar kā thā
sahrā ke sar kī maañg hai ab tak vo ik lakīr
hāsil jise ġhurūr tirī rahguzar kā thā
kaalī kiran ye guñg sadāoñ ke dā.ere
pahuñchā kahāñ 'rashīd' irāda kidhar kā thā
Top Urdushayar.com