Rasheed Qaisrani

tanhaiyon ka habs mujhe kaTta raha

Rasheed Qaisrani

1930-2010
tanhā.iyoñ kā habs mujhe kāTtā rahā
mujh tak pahuñch sakī na tire shahar kī havā
vo qahqahoñ kī sej pe baiThā huā milā
maiñ jis ke dar pe dard kī bārāt le gayā
ik umr justujū meñ guzārī to ye khulā
vo mere paas thā maiñ jise DhūñDhtā rahā
niklā huuñ lafz lafz se maiñ Duub Duub kar
ye merā ḳhat hai yā koī dariyā chaḌhā huā
āñkhoñ meñ jaise kāñch ke TukḌe chubho liye
palkoñ pe terī kaash maiñ aañsū na dekhtā
nazreñ milīñ to vaqt kī raftār tham ga.ī
nāzuk se ek lamhe pe barsoñ kā bojh thā
maiñ ne baḌhā ke haath use chhū liyā 'rashīd'
itnā qarīb aaj mire chāñd aa gayā
Top Urdushayar.com