jab raat ke siine meñ utarnā hai to yaaro
behtar hai kisī chāñd ko shīshe meñ utāro
dīvār pighaltī hai jhulas jaate haiñ saa.e
ye dhuup nigāhoñ kī bahut tez hai yaaro
parchhā.iyāñ pūjeñge kahāñ tak ye pujārī
apnāo koī jism koī ruup to dhāro
ḳhud ahl-e-qalam is meñ ka.ī rañg bhareñge
tum zehn ke parde pe koī naqsh ubhāro
tum vaqt kī dahlīz pe dam toḌ rahe ho
maiñ bhāgtā lamha huuñ mujhe tum na pukāro
hālāt ye kahte haiñ ki tum zinda rahoge
palkoñ pe larazte hue ḳhush-baḳht sitāro