uTh ga.ī aaj chāñd kī Dolī
kitnī vīrāñ hai raat kī jholī
apnā saaya sameT kar rakhnā
mujh se ik bhāgtī kiran bolī
ab to jaag ai shaboñ kī shahzādī
tujh ko sonā thā umr-bhar so lī
saañs roko charāġh gul kar do
aaj badlegī chāñdnī cholī
maiñ huuñ sāthī sulagte sahrā kā
tū ThiThurtī kiran kī ham-jolī
ek dariyā sambhal sambhal ke chalā
ek kashtī qadam qadam Dolī
āsmāñ tū abhī zamīñ pe na aa
maiñ ne muTThī abhī nahīñ kholī
kab talak koī dil pe kaan dhare
kaun samjhe 'rashīd' kī bolī